Hello Dosto, aaj mein aapko
bataunga ki aap kisi bhi mobile number ki call details kaise nikal sakte hai,
aaj me aapko Jio, Airtel aur Vi (Vodafone Idea) ke calls details nikalne ke
baare mein bataunga kyuki mostly sbhi inhi company ke sim card ko use karte
hai. Issi ke baare mein me aapko iss post me btane wala hu.
Dosto sabse pehle me aapko
btata hu ki aap Jio SimCard ki call details kaise nikal sakte ho, iske liye aapko
apne phone me ek application ko install karna hoga, jiska naam hai My Jio App
ye aaplication aapko PlayStore mein asasni se mil jayegi aur aapko iss
application ko install kar lena hai.
Install karne ke baad My Jio
App ko aapko Open kar lena hai aur open karne ke baad apke samne kuch aisa
interface aayega, yaha par apko wo number dalna hai jis bhi number ki aap call
details ko nikalna chahte hai aur yaha par aapko number daal ke Otp se verify
kar lena hai.
Application ke open hone ke baad apke samne kuch aisa interface aayega yaha par aapko uper ki taraf swipe up karna hai aur yaha par aapko Trending Now section ke ander first number pe Usage Details ka option dikhai dega aapko wha par click karna hai.
Click karne ke baad apke samne kuch aisa interface aayega ab apko yaha par Data, Calls aur Sms ke options dikhai de rhe honge aapko yha par second number pe Calls wale section par click karna hai.
Click karne ke baad aapko yaha
2 se 3 din ki call details dikhai degi aur agar aap aur bhi jada calls details
nikalna chahte hai to aapko yaha par niche ki taraf Do you want to view
detailed usage statement wali option par click karna hoga.
Click karne ke baad apke samne kuch aisa interface aayega, dosto yaha par aap last 180 days ki call details ko nikal sakte ho aur aap last 30 days ki call detail ko yhi par view karke dekh sakte ho aur 30 days se jada ki detail aapko apni email id daal kar email par send karke dekh sakte hai, yaha par aap Custom Dates par click karke selected period bhi select kar sakte hai.
Yaha par aapko days select
karne ke baad View Statement wale option par click karna hoga aur niche ki
taraf View Statement pe click kar dena hai, ab apke samne kuch aisa interface
aayega yaha par aapko Usage Charges option par click karna hai yaha par aapko
Data, Voice aur Sms ka button dikhai dega aapko Voice button par click karna
hai, Voice par click karne ke baad aapk Click Here par click karna hai.
Click karne ke baad aapke samne
sbhi call details open ho jayegi aur yaha par aap asani se dekh sakte hai.
Vi (Vodafone Idea) Call Details Kaise Nikale
Dosto ab ham baat karne wale hai Vi
(Vodafone Idea) ke baare mein aapko isme bhi Vi App ko PlayStore se download
karke install kar lena hai aur jis number ki call detail dekhna chahte hai usko
yaha par daalkar otp se verify kar lena hai.
Application open hone ke baad aapke samne kuch aisa interface aayega yaha par aapko click karna hai My Account par My Account par click karne ke baad aapko yaha par click karna hai Recharge History & Prepaid Bills.
Click karne ke baad apke samne kuch aisa interface aayega yaha par aapko Email Bill ka ek button dikhai dega aapko wha par click karna hai aur aapko yaha par aapko apki Email ID daalkar verify kar lena hai, Email Id verify karne ke baad aapke samne months dikhai dene lag jayenge yaha par aap dekh sakte hai aur aapko jis bhi month ki call detail chahiye hogi aapko wo month select karna hai aur Email Bill par click kar dena hai aur aapke Email Id par aapko uss month ki poori call detail dekhne ko mil jayegi.
Dosto me aapko btana chahta hu
ki Vi ki taraf se jo bhi call detail ki Email hogi wo Password Protected hogi
aapko uss mail ko open karne ke liye jis bhi person ke name se wo Sim Card hoga
uss person ke name ke first 2 letters aur uss hi person ke Date of Birth ke
Year ke 4 Digit enter karne honge aur apko mail me bhi file ko open karne ke
procedure ke baare me guide kiya hoga.
Dosto ab ham baat karte hai
Airtel Sim Card ki Call detail kaise nikale
Dosto Airtel ki Call Details ko
nikalne ke liye aapko My Airtel App ko install nhi karna hai, aapko simply apne
mobile ke Text Messages mein jana hai aur jis bhi number ki call detail nikalna
chahte hai aapko ussi number se ek Text Message send karna hai.
Message mein aapko type karna
hai : EPREBILL MONTH E-Mail ID
For Example : EPREBILL JAN emailid@gmail.com
Yaha par aapko EPREBILL type
karna hai aur uske baad wo Month type karna hai aur fir aapko apni Email Id
type karni hai aur aapko iss message ko 121 par send kar dena hai aur kuch time
baad aapko aapki email id par call detail ki mail aa jayegi.
Dosto me aapko btana chahte hu
ki jo aapko mail aayegi wo bhi Password Protected hogi aur jab aapko mail
aayegi to uss mail ka Password aapko ussi Sim Card par aayega jis sim card se
aapne text message ko send kiya hoga.
Dosto issi tarah se aap Jio, Airtel aur Vi sim card ke call detils ko nikal sakte hai, Iske baare mein maine Youtube par complete video bhi banaya hai agar aap chahe to yaha par Click karke YOUTUBE VIDEO bhi dekh sakte hai.
Disclaimer : Dosto me aapko
btana chahta hu ki ye sirf Educational Purposes ke liye hai aur iss method ka
galat isstemal ya Misuse na karein.
No comments:
Post a Comment