How to Hide secret Photos Videos and Files in Android | Best app to Hide Pictures and Videos on Android
Hello Dosto, aaj mein aapko bataunga ki aap apne android mobile mein secret photos videos and files ko kaise hide kar sakte hai.
Iske liye aapko apne android mobile ke playstore ko open karna hai aur waha par search karna hai, COMPASS aapke samne ye Application aa jayegi, iss application ko aapko apne android mobile mein install kar lena hai. Install karne ke baad isse open kar lena hai.
Open karne ke baad apke samne kuch aisa interface aayega. Yaha par long press karke rakhna hai aur ab aapke samne kuch aisa interface aayega.
Ab aapko yaha par ek PASSWORD set kar lena hai, password set karne ke baad yaha par aapko ek SECURITY QUESTION bhi set kar lena hai. ab aapko iss application mein password dalkar login kar lena hai.
Open hone ke baad apke samne kuch aisa interface dikhai dega, ab aap yaha par dekh sakte hai, Photo Vault, Video Vault, Audio Vault aur Other Vault, iska matlab aap yaha par photos videos and audio and files ko hide kar sakte hai.
Aur aap iss APPLICATION ke ICON ko HIDE bhi kar sakte hai, yaha par aapko settings pe click karna hai aur click karne ke baad aapko yaha par HIDE COMPASS VAULT likha hua dikhai dega, aapko iss option ko click karke ON par dena hai. On karne ke baad ye aaplication aapke phone se hide ho jayegi.
Aur iss application ko ACCESS karne ke liye aap 2 method use kar sakte hai.
First, aapko apne mobile ke DIALER me jana hai aur Dialer mein jane ke baad aapko dial karna hai *#*#333555#*#* aur aapke samne automatic ye application open ho jayegi aur ab aapko yaha par password daalkar iss application ko open kar lena hai.
Second, aapko apne mobile ki GALLERY ya FILE MANAGER mein jana hai aur kisi bhi file ko SEND ya SHARE karna hai, send karne ke baad aapko Suggestion me iss application ka icon dikhai dega aap waha par bhi click karke iss application ko access kar sakte hai aur password dalkar iss application ko open kar sakte hai.
Aur iss application mein aap INTRUDER SELFIE ka feature bhi on kar sakte hai, iske liye aapko intruder selfie wale option kar click karna hai aur isse ON kar dena hai agar koi bhi person iss application ko kisi bhi tarah se GALAT ya WRONG password dalkar open karne ki koshish karta hai to ye application apne aap uss person ki front camera se pic le legi.
Iske baare mein maine YOUTUBE par video bhi banaya hua hai aap yaha par CLICK karke complete video bhi detail mein dekh sakte hai.
No comments:
Post a Comment