RK Tech & Solution

Technology Tips, Android Phone Tips, Tech Videos, Smartphones Reviews, Gadgets, Software, Computer Tips, Earning Tips etc.

Sunday, January 14, 2024

How to Create Google Account for Child | How to Create Gmail ID for Child | How to create google account for child in gmail

How to Create Google Account for Child | How to Create Gmail ID for Child | How to create google account for child in gmail

Hello friends, today I will tell you how you can create a Google or Gmail account for your child and that too very easily

First of all, you need visit Gmail.com website and you have to click on create a new account at the bottom and select option For my child.

 


Now you have to enter your child's details here such as first name, last name, username and password.

 


Now you have to enter the date of birth and gender of your child here and click next.

 



Now here you have to enter your email ID i.e. parents, with this email ID you will be able to manage your child's email ID.

 


Now you have to read all the conditions and click on Accept and Agree.

 


Here you can see what you can manage in your child's email ID from your email ID like update, delete account and manage activity and you have to click next here.

 


Now you have to set the Personalization settings, you can set your according to it.

 


Now you have to click on Agree and your child's google account will be created and you will also be able to manage your child's email ID from your email ID.

 


In this way you can easily create a Google account for your child.


Sunday, December 17, 2023

How to get call details of any mobile number | Call Details Kaise Nikale | Call history kaise nikale Jio, Airtel, Vodafone Idea

How to get call details of any mobile number | Call Details Kaise Nikale | Call history kaise nikale Jio, Airtel, Vodafone Idea



Hello Dosto, aaj mein aapko bataunga ki aap kisi bhi mobile number ki call details kaise nikal sakte hai, aaj me aapko Jio, Airtel aur Vi (Vodafone Idea) ke calls details nikalne ke baare mein bataunga kyuki mostly sbhi inhi company ke sim card ko use karte hai. Issi ke baare mein me aapko iss post me btane wala hu.

Dosto sabse pehle me aapko btata hu ki aap Jio SimCard ki call details kaise nikal sakte ho, iske liye aapko apne phone me ek application ko install karna hoga, jiska naam hai My Jio App ye aaplication aapko PlayStore mein asasni se mil jayegi aur aapko iss application ko install kar lena hai.

Install karne ke baad My Jio App ko aapko Open kar lena hai aur open karne ke baad apke samne kuch aisa interface aayega, yaha par apko wo number dalna hai jis bhi number ki aap call details ko nikalna chahte hai aur yaha par aapko number daal ke Otp se verify kar lena hai.


Application ke open hone ke baad apke samne kuch aisa interface aayega yaha par aapko uper ki taraf swipe up karna hai aur yaha par aapko Trending Now section ke ander first number pe Usage Details ka option dikhai dega aapko wha par click karna hai.



Click karne ke baad apke samne kuch aisa interface aayega ab apko yaha par Data, Calls aur Sms ke options dikhai de rhe honge aapko yha par second number pe Calls wale section par click karna hai.



Click karne ke baad aapko yaha 2 se 3 din ki call details dikhai degi aur agar aap aur bhi jada calls details nikalna chahte hai to aapko yaha par niche ki taraf Do you want to view detailed usage statement wali option par click karna hoga.



Click karne ke baad apke samne kuch aisa interface aayega, dosto yaha par aap last 180 days ki call details ko nikal sakte ho aur aap last 30 days ki call detail ko yhi par view karke dekh sakte ho aur 30 days se jada ki detail aapko apni email id daal kar email par send karke dekh sakte hai, yaha par aap Custom Dates par click karke selected period bhi select kar sakte hai.



Yaha par aapko days select karne ke baad View Statement wale option par click karna hoga aur niche ki taraf View Statement pe click kar dena hai, ab apke samne kuch aisa interface aayega yaha par aapko Usage Charges option par click karna hai yaha par aapko Data, Voice aur Sms ka button dikhai dega aapko Voice button par click karna hai, Voice par click karne ke baad aapk Click Here par click karna hai.

Click karne ke baad aapke samne sbhi call details open ho jayegi aur yaha par aap asani se dekh sakte hai.

 





Vi (Vodafone Idea) Call Details Kaise Nikale

Dosto ab ham baat karne wale hai Vi (Vodafone Idea) ke baare mein aapko isme bhi Vi App ko PlayStore se download karke install kar lena hai aur jis number ki call detail dekhna chahte hai usko yaha par daalkar otp se verify kar lena hai.




Application open hone ke baad aapke samne kuch aisa interface aayega yaha par aapko click karna hai My Account par My Account par click karne ke baad aapko yaha par click karna hai Recharge History & Prepaid Bills.




Click karne ke baad apke samne kuch aisa interface aayega yaha par aapko Email Bill ka ek button dikhai dega aapko wha par click karna hai aur aapko yaha par aapko apki Email ID daalkar verify kar lena hai, Email Id verify karne ke baad aapke samne months dikhai dene lag jayenge yaha par aap dekh sakte hai aur aapko jis bhi month ki call detail chahiye hogi aapko wo month select karna hai aur Email Bill par click kar dena hai aur aapke Email Id par aapko uss month ki poori call detail dekhne ko mil jayegi.





Dosto me aapko btana chahta hu ki Vi ki taraf se jo bhi call detail ki Email hogi wo Password Protected hogi aapko uss mail ko open karne ke liye jis bhi person ke name se wo Sim Card hoga uss person ke name ke first 2 letters aur uss hi person ke Date of Birth ke Year ke 4 Digit enter karne honge aur apko mail me bhi file ko open karne ke procedure ke baare me guide kiya hoga.

 



Dosto ab ham baat karte hai Airtel Sim Card ki Call detail kaise nikale

Dosto Airtel ki Call Details ko nikalne ke liye aapko My Airtel App ko install nhi karna hai, aapko simply apne mobile ke Text Messages mein jana hai aur jis bhi number ki call detail nikalna chahte hai aapko ussi number se ek Text Message send karna hai. 

Message mein aapko type karna hai :  EPREBILL  MONTH  E-Mail ID

For Example : EPREBILL JAN emailid@gmail.com



Yaha par aapko EPREBILL type karna hai aur uske baad wo Month type karna hai aur fir aapko apni Email Id type karni hai aur aapko iss message ko 121 par send kar dena hai aur kuch time baad aapko aapki email id par call detail ki mail aa jayegi.

Dosto me aapko btana chahte hu ki jo aapko mail aayegi wo bhi Password Protected hogi aur jab aapko mail aayegi to uss mail ka Password aapko ussi Sim Card par aayega jis sim card se aapne text message ko send kiya hoga.

Dosto issi tarah se aap Jio, Airtel aur Vi sim card ke call detils ko nikal sakte hai, Iske baare mein maine Youtube par complete video bhi banaya hai agar aap chahe to yaha par Click karke YOUTUBE VIDEO bhi dekh sakte hai.


Disclaimer : Dosto me aapko btana chahta hu ki ye sirf Educational Purposes ke liye hai aur iss method ka galat isstemal ya Misuse na karein.

 

Tuesday, October 17, 2023

Earn Money by Completing Online Survey | Earn Money Online App | Online Paid Surveys App

Earn Money by Completing Online Survey | Earn Money Online App | Online Paid Surveys App



Hello Dosto, aaj me aapko bataunga ki aap simple online survey complete karke money kaise earning kar sakte ho. yaha par aapko apne opinons dene honge aur uske badle mein aapko payment milegi.

Dosto ye application bhi hai aur unki website bhi hai aap chahe to apne mobile aur pc dono mein isse use kar sakte hai.

Iss application ka naam hai Rakuten InsightSurvey yaha par click karke aap iss website par visit kar sakte hai aur inki android application ko bhi download kar sakte hai.

 

Application ko open karne ke baad aapke samne kuch aisa interface aayega. yaha par aapko Signup karke account bna lena hai. account bnane ke baad aapko Sign In kar lena hai.

 



Sign in karne ke baad aapke samne kuch aisa interface aayega aur yaha par aapke liye jo bhi survey aayenge yaha par aapko wo sab dikhai denge. yaha par aapko mostly daily survey dekhne ko mil jate hai.

 


Survey complete complete karne ke baad aapko sb survey completed section mein dikhane lag jayenge.

Yaha par aapko jo bhi survey dekhne ko milte hai unko complete karne ke aapko points milte hai aur yaha par ek point ka matlab ek rupay hota hai.

 


Points ko withdrawal karne ke liye aapko yaha par side mein 3 lines par click karna hai aur yaha par aapko third number pe Points Shop ka option dekhne ko milega yaha par aapko click karna hai. click karne ke baad aapke samne aisa interface aayega, yaha par aap apne points ko Paytm Wallet Promo Code, Amazon Online Gift Voucher aur Flipkar Online Gift Voucher ke sath withdrawal kar sakte hai.

 



Yaha par aap minimum 100 Coins hone ke baad he withdrawal kar sakte hai aur yaha par aapko har month ki 15 aur 30 tarikh ko he withdrawal milta hai.

 


Dosto iske baare mein maine YouTube par complete video bhi bnaya hua hai agar aap chahe to yaha par click karke Youtube Video bhi dekh sakte hai.



Sunday, September 24, 2023

How to Hide secret Photos Videos and Files in Android | Best app to Hide Pictures and Videos on Android

How to Hide secret Photos Videos and Files in Android | Best app to Hide Pictures and Videos on Android



Hello Dosto, aaj mein aapko bataunga ki aap apne android mobile mein secret photos videos and files ko kaise hide kar sakte hai.

Iske liye aapko apne android mobile ke playstore ko open karna hai aur waha par search karna hai, COMPASS aapke samne ye Application aa jayegi, iss application ko aapko apne android mobile mein install kar lena hai. Install karne ke baad isse open kar lena hai.






 

Open karne ke baad apke samne kuch aisa interface aayega. Yaha par long press karke rakhna hai aur ab aapke samne kuch aisa interface aayega.





Ab aapko yaha par ek PASSWORD set kar lena hai, password set karne ke baad yaha par aapko ek SECURITY QUESTION bhi set kar lena hai. ab aapko iss application mein password dalkar login kar lena hai.











Open hone ke baad apke samne kuch aisa interface dikhai dega, ab aap yaha par dekh sakte hai, Photo Vault, Video Vault, Audio Vault aur Other Vault, iska matlab aap yaha par photos videos and audio and files ko hide kar sakte hai.





Aur aap iss APPLICATION ke ICON ko HIDE bhi kar sakte hai, yaha par aapko settings pe click karna hai aur click karne ke baad aapko yaha par HIDE COMPASS VAULT likha hua dikhai dega, aapko iss option ko click karke ON par dena hai. On karne ke baad ye aaplication aapke phone se hide ho jayegi.



Aur iss application ko ACCESS karne ke liye aap 2 method use kar sakte hai.

First, aapko apne mobile ke DIALER me jana hai aur Dialer mein jane ke baad aapko dial karna hai *#*#333555#*#* aur aapke samne automatic ye application open ho jayegi aur ab aapko yaha par password daalkar iss application ko open kar lena hai.







Second, aapko apne mobile ki GALLERY ya FILE MANAGER mein jana hai aur kisi bhi file ko SEND ya SHARE karna hai, send karne ke baad aapko Suggestion me iss application ka icon dikhai dega aap waha par bhi click karke iss application ko access kar sakte hai aur password dalkar iss application ko open kar sakte hai.







Aur iss application mein aap INTRUDER SELFIE ka feature bhi on kar sakte hai, iske liye aapko intruder selfie wale option kar click karna hai aur isse ON kar dena hai agar koi bhi person iss application ko kisi bhi tarah se GALAT ya WRONG password dalkar open karne ki koshish karta hai to ye application apne aap uss person ki front camera se pic le legi.





Iske baare mein maine YOUTUBE par video bhi banaya hua hai aap yaha par CLICK karke complete video bhi detail mein dekh sakte hai.